Dille-e-Ruswai
Ajj Phir Koi Dill Totta,Phir Kisi Ki Khuwahishat Ka Gala Ghont Diya Gaiya,Phir Kisi K JazBat Ka Mazaq Uraya Gaiya,Phir Koi Kisi Se Juda Ho Gaiya,Phir Kisi K Armano Ka Khoon Kiya Gaiya,Phir Kisi K Piyar Ka Imtehan Liya Gaiya,Phir Zindagi Ne kisi ko Dhuka Diya, Phir Kisi ko kisi Majbori kay Tehat Chor Diya Gaiya, Phir kisi ki Mohabat ko Sar-e-Bazar Ruswa kiya Gaiya, Phir Kisi Ki Ankh Se Ansoo Bahaye gay, Phir kisi ko Dukhoon Se Nawaza Gaiya. Phir kisi ko Inam-e-Judai Diya Gaiya, Phir kisi ko Tanhai Ki Aag Me Dala Gaiya, Phir kisi ki Dunia ko Ujaar Diya Gaiya, Phir kisi kay Khuwabon ko Adhura ker Diya Gaiya, Phir kisi ki Omeedon ko Tore Diya Gaiya, Phir kisi ka Hamdard Kisi Se Sheen Liya Gaiya, Phir kisi ki Khushi ka Bharm na Rakha Gaiya, Phir kisi ki Chahat ko Ilzaam Diya Gaiya, Phir kisi ki Mohabat Ko Ana ka Masla Banaya Gaiya, Phir kisi kay Dill ko Zakhm Diya Gaiya, Phir kisi ko Sochon ki zanjiron May Jaker diya gaiya, Phir kisi ki qismat ko ilzam diya gaiya, Phir kisi ki zindagi ko tabah kiya Gaiya, Phir kisi ko Qasorwar Tehraya Gaiya, Phir kisi ko Intezar Diya Gaiya, Phir kisi ki roah to Terpaya gaiya.
Dunia kay Anjan Raston Pay Kahin Kho Na Jaon.
Wafa ka Paigham Daite Daite Kahin Khud Baiwafa Na Ho Jaon.
Dhondta Phirta Hon Aik Aeisay Saharay Ko,
Jis ki Chahat May Main Khud ko Bhool Jaon.